Stories

Jaisi Karni Waisi Bharni

Ek gaanv me ek adami rehta tha jiske 3 bacche the(badaa beta 3 saal ka, dusra beta 1.5 saal ka or sabse chota 4 mahine ka). Wo admi roz ek murge ko halaal karta tha or jab murga gardan katne par dard se chatpataata tha tab wo zor zor se atthahaas karne lagta tha. Us aadmi ke teeno bacche use ye karte dekhte or sochte ki shayad unke pitaa koi khel khelte hai.

Ek din unke pitaa ke sabhi murge khatm ho gye to wo aur murge kharidne bazaar chale gye, jab unke bade bete ne unke pita ko roz ki tarah murge halaal karte huye nahi dekha to usne socha shayad aaj pita ji ka khelne ka man nhi hoga aur wo unki jagah khelne bhaith gaya. Par waha koi murgaa nhi tha to usne apne 1.5 saal ke chote bhaai ko murge ki jagah rakha or apne pita ki tarah  kataar se dhire dhire apne bhaai ki garadan halaal karne lag gaya, jab uska chota bhai dard se chatpata raha tha uska bada bhai apne pita ki tarah zor zor se hasne laga. Par use is baat ka andaza nahi tha ki usne bachpane me apne hi bhai ki jaan le li hai. Baahar se ye sara shor sunkar unki maa jo ki bathroom me sabse chote bete ko tub me nehla rahi thi, wo jaldbazi me us 4 mahine ke bacche ko tub me hi chodke a gyi, aur jab bahar akar usne sara haal dekha to uske pairo se zameen hi nikal gai. Apni ma ko waha gusse se laal dekhkar unka bada beta dar ke mare bachne ke liye waha se bhaga or pair fisalne ki wajah se chat se gir kar mar gaya.

Apne dono beto ke mrat shareer apne saamne dekh kar maa badahawaas si ho gai tabhi use yaad aya ki wo unke sabse chote bete ko paani se bhare tub me hi chod ayi thi, ye yaad ate hi wo jaldi se bathroom ki taraf bhagi par tab tak bahut der ho chuki thi, unka chota beta tub me pani ke andar doobne se mar chuka tha. Apne teeno beto ki maut apne saamne dekhkar maa sadme se lakwa grast ho gai. Is tarah ek pal me hi us aadmi ka poora parivar barbad ho chuka tha.

Hum chahe jitni koshish kar le, hamare karm hamesha hame unka fal de hi dete hai, koi bhi insaan kabhi bhi apne karmo se bach nahi sakta. Isliye hamesha acche karm kariye, khushiyan baatiye or khush rahiye.

Leave a comment